Sunday, September 1, 2013

Kanjoosi seekh li Thodi dildaari bhi seekh lo.......


Kanjoosi seekh li

Thodi dildaari bhi seekh lo


Mohabbat toh kar hi li
Ab nibhani bhi sikha do

Neend chura li koi baat nahi
Sapnon ki kahani toh poori kar do

Tumse muskaan aayi hai hothon pe
In hothon ki nigraani bhi seekh lo

Thodai dheemi hai hawa ki dhun aaj
Ek sur tumhara fir se suna do

Roz aankhon ki chamak se chashme ka maap badal gaya
Aenak ko hi utaar ke dekh sakoon itne toh nazdeek raho

Baatein karni mujhe aati nahi
Chapad chapad ki hi aadat dila do

Likh sakta hoon main aur abhi kasidee tumhari shaan ke
Meri kalam mein prerna bann ke sirf timhare pyar ki siyahi bhar do

Likhta hoon ghazal tumhare husn ki angdaayiyon pe
Tum bass ek baar gaane ka wada kardo

Gussa ata hai waqt ke bewaqt takazon pe 
Cheen ke tumhe door le jata hai
Hum ghadi mein fir chaabi lagane ko taiyar hain tab bhi
Agli mulaakat ka bas waqt mukarrar kardo

Ek wada humse lelo 
Aur ek irada humein dedo

Saath likha hai toh bhi accha hai
Warna haathon ki lakeerein ko khanjar hi kaafi

Itna karo ki ishara bhar bass
Suna hai tumhari aankhon ko nachna ata hai

Sikha do humein inn adayon ka matlab
Ya bata do mujhe khamoshi wale jawab

Kanjoosi seekhi koi baat nahi
Thodi kamm hi sahi dildaari toh dikhao

No comments:

Post a Comment